Skip to main content

Posts

     

WAQT HAI TUMHARE PAAS ? | Hindi love poetry

Kabhi suna hai tumne ? Kabhi padha hai tumne ? Maine kitna sab kuch likha hai tum pe Agar padha hai toh uss mein apna naam khojne ki koshish ki hogi tumne Aur suna hai toh meri aawaz mein mohabbat mehsoos ki hogi tumne Aao na , Kuch der baithte hain saath Kaho mujhse , Kuch batao jaan ? Kuch batao jaan ? Aise hi liya karti thi na naam tum mera Sune huye kaafi waqt bhi beet gaya Pukaaro na , Phir se aaj Kuch baat karni hai Waqt hai tumhare paas ? Itni buddhu bhi tum ho nahin ki samajh na paayo yeh sab tum par likha hai Itna attitude bhi mat dikhao na ki batao hi na ki kaisa likha hai Mere upar koi ek line bhi likh dena toh main pagal ho jayun khushi se ki mujhe koi chahta hai Tumhare upar toh poori diary bhardi hai Tumhe lagta toh hoga na , Yeh pagal aise kyun karta hai Accha naraaz toh nahin ho na Ki aksar log aankhon ki tareef karte hain aur main tumhaare chashmo pe pada rehta hoon Sach mein , Tum bohot acchi lagti ho Woh black waale frames hi pehna karo Khud socho , Itna koi sochta h

LOVE YOU AS A FRIEND | Story of every friendzoned person

Pyar toh pyar hai Par usey adhoora chodhne se darr raha hoon Haath pe friendship band pehenke Valentines day ka wait kar raha hoon Intro Tumhe sab kuch pata hoga Tum mujhse anjaan thodhi na ho Dost kehti ho mujhe Koi mehmaan thodhi na ho Kehte hain! Pyar hai toh izhaar kar dena chahiye Lekin pyar agar apni dost se hi ho jaaye Tab kya karna chahiye? Darta hoon Agar bol diya toh jaisa rishta hai kahin Usey bhi na kho doon Phir ek baat yeh bhi hai Pyar ki feeling aane ke baad Uska bas friend bhi kaise reh loon? Bas issi darr ke chalte Issi darr ke chalte maine aaj tak usey bataane ki Koshish bhi nahin ki Ishaaro mein pyar tha mere Par usne yeh baat meri Kabhi notice hi nahin ki Sab achanak hua kuch pata nahin chala Dil ko dosh du ki aankhon ko thehraun wajah Ussey kuch bhi bol deta hoon main par yeh bataane ki Mujhmein himmat nahin thi Kahin sunke mujhe woh yeh na keh deti Tumse yeh ummed nahin thi Love you as friend sunke tang hoon main humsafar kyun nahin bann sakta Jab uske har safar m

Ab wapas mat aana tum

Saath the tab pal haseen guzaare the Ab bichadne ko bhi bura kyun kehna Haan kami khali thi shuruaat mein thodi si Ab usi ke chalte Poori zindagi adhoora kyun rehna Zindagi se nikal gaye ho Dil se bhi toh nikal jao Zindagi se nikal gaye ho Dil se bhi toh nikal jao Tumhe dekh kar muh pherna hai yaar Tumhari tarah Kabhi milne toh aao Tumhe kya laga Iss bichdan se tumhe bura kahunga aur nashe karke khud ko barbaad karunga Iss bichdan se tumhe bura kahunga aur nashe karke khud ko barbaad karunga Arey tum jaanti ho mujhe main bade saaf dil ka insaan hoon Bas ek shayari likhunga aur har baar ki tarah tumhe maaf karunga Bewajah Hamesha Pehle khayal aata tha tumhara Bewajah hamesha Pehle khayal aata tha tumhara Phir socha maine Move on ka khayal kaisa rahega Sabse pehli priority kabhi meri Tum hi thi Phir dil ne bhi samajhaya jiska exam khatam ho chuka hai Uske liye kab tak padhta rahega Tum shayad galatfehmi mein hogi Ki tumse bichadne ke baad zindagi toot gayi hai meri Mujhe maaf kar dena ma

Kuch Baatein

"Dil Walon" par "Keher" toh m tab dhaa deti hun jab bohut dukhi hoti hun , Muskura deti hun Badla tha samay shayad tab ki Badla tha samay shayad tab yaa phir vah samay ka Badla tha varna pehle toh yeh dil kabhi na kisi ki baaton par yun Machla tha Pehle toh kabhi na humne baaton ke yun "Mayne" nikaale the "Udaseen" kehte hain log hume ab hum toh "Hasne Hasaane" wale the Udaaseen kehte hai log hume ab , hum toh "Hasne Hasaane" wale the Akaaran hi logon se jhagadne ki vajahe , na jaane kyun Humne Khoj li Kuch baatein logon ne kahi thi shayad , aur kuch baatein Humne "Soch" li ki kahan gya vah "Khush Dil" humara jo har haal me, Muskuraya tha ki kahan gya vah "Khush Dil" humara jo har haal me Muskuraya tha pehle toh kabhi na humari khoobiyon par haavi humari Khamiyon ka saaya tha pehle pehle jin mazaak ko hum hasne ke samjhte bahaane the na jaane kyun vahi lagte the aaj Paine Nukile taane se yeh kis N

"Aadat"

I want to talk about habits, aadatein, humein aksar aadat ho jaati hai apni adaton ki mohtaaz ho jane ki  Toh shuru karti hoon aadat Nayi subah ke khwaab mein  bun kar soyi thi Iss chehre ke na jaane kitne naqaab mein chun kar soyi thi Kitna adbudh hai yeh ki subah uthu toh jo chahu wo ban jau Iss rooh ki har khwahish ko mein poora kar jaun Magar har subah mein wahi insaan ban jaati hun  Na waqt pe uthti hoon, na waqt pe khaati hoon  Beete hue kal ki galtiyaan mein baar baar dohraati hoon  Aur phir baatein karti hoon khudse nayi subah ko sajaane ki,  kyon ki adat hai mujhe adaton ka mohtaaj hojane ki Magar abse, magar abse, har subah ek naye naqaab ki or hoon mein,  uthi toh dekha ek chor hoon mein  Sochti hoon aaj bhuk apni mehnat ki kamayi se mitaungi Iss rooh mein baduaon ki lagi aag ko thoda toh bujha ke ghar aungi  Magar jiss thaali se roti mein baantne gayi thi uss thaali ko mein loot kar aagayi Aadaton se majboor mein aaj phir toot kar aa gayi. Galat nahi mein, galat nahi mein b

Aaj kuch chehre anjaane hai - "Tum The"

Aaj kuch chehre anjaane hai, kuch pehchaane hai, kuch chehre anjaane hai ,  kuch pehchaane hai yunhi mulaqat badhegi toh raabta badhega ek din sab apne ban jaane hai, apne baare m bas itna kahungi ki ,  mere unka zikar m sareaam nahi karti, mere unka zikar m sareaam nahi karti aur mein, unemployed engineer hun yr , likhne ke siva koi kaam nahi karti meri iss kavita ka shirshak hai , "Tum The" Tum The toh suno , un dino mehez 16 - 17 saal ki thi m un dino mehez 16 - 17 saal ki thi m aur, raaton ko jagni ki yeh meri aadat nai nai thi tumhe tabhi tih notice karna shuru kiya tha maine aur tumhare sath hone par mujhe jo milti thi voh rahat nai nai thi pta hi ni chla yeh mulaqat kab aadat ban gai aadat kab zarurat , aur zarurat kab chahat shayad ladakpan ki voh meri pehli si mohabbat nai nai thi uss samay, iss junoon, iss fitoor us sukoon ka ehsaas toh pehle  kabhi hua hi ni tha kyunki tum the mere paas aise , jaise koi nahi tha tum the mere paas aise jaise koi nahi tha yaad hai mu

เค‰เฅœ เคฐเคนी เคฅी เคฎैं เค•ुเค› เค–्เคตाเคฌ เคฒिเค

เค‰เฅœ เคฐเคนी เคฅी เคฎैं เค•ुเค› เค–्เคตाเคฌ เคฒिเค,  เค•ुเค› เค…เคฐเคฎाเคจ เคฒिเค , เคฆिเคฒ เค•ो เค…เคชเคจे เคชंเค– เคฆिเค , เคถोเคฐ เคจเคนीं เคฅा เคตเคนा เคชเคฐ , เคธिเคฐ्เคซ เคธเคชเคจे เคฅे, เค‰เคจ्เคนें เคชเคคा เคฅा เค•ि เค•ुเค› เคฌिเค–เคฐे เคนोंเค—े , เค•ुเค› เคชूเคฐे เคนुเค เคนोंเค—े , เค•ुเค› เค…เคฐเคฎाเคจो เคฎें เคธเคฎाเคคे เคนुเค เคนोंเค—े , เคฌเคธ เคเค• เคšाเคน เคฅी เค‰เฅœเคจे เค•ी, เคจीเคฒे เค†เคธเคฎाเคจ เค•ी , เคฌाเคฆเคฒों เค•े เคขेเคฐ เค•ी , เคนเคตाเค“ं เค•े เคถोเคฐ เค•ी , เคšाँเคฆ เค•ी เคšांเคฆเคจी เค•ी เคšเค•ोเคฐ เค•ो เคชाเคจे เค•ी , เคธूเคฐเคœ เค•ी เคฐौเคถเคจी เค•ी , เค”เคฐ เคเค• เค–ोเคœ เค•ी , เค‰เฅœ เคฐเคนी เคฅी เคฎैं เค•ुเค› เค–्เคตाเคฌ เคฒिเค | My dreams quotes My dreams come true Poetry, Shayari, hindi blog, poetry in hindi, poetry foundation ,poetry quotes ,poetry about life ,famous poetry ,poetry website, poetry wikipedia , hindi kavita , poetry in hindi on love , short poetry in hindi , motivational poetry in hindi , poetry in hindi on life , poetry in hindi sad , famous hindi poems for recitation , poetry in hindi for friends , viral-kavya